- मैंने रिश्वत दी
- 8 years ago
- 6917 दर्शनों की संख्या
Weapon license renewal
- Judiciary
- Advocate or Legal Services
- Paid INR 200
Sir mai gwalior dist. Ke dabra tehsil mai rehta hu sir mai apne grand father ke sath licence renewal ke silsile mai kuch document par waha ke magistrate sir ke signature ki jaroorat thi to hamne unko apne document dikhaye to unhone(magistrate sir) ne bo document 's apne office ke kisi person ko dene ke liye kaha fir hamne bo document unko dikhaye to unhone ham se kaha aap ka kam ho jayega lekin aapko kuch saman lana hoga to hamne bola sir aap bata di jiye ki kya lana hai to unhone ek kagaj par stationary saman likh diya jisme 20 rs wale 5 register ,2 stamp pad 50 rs ke or ek carbon paper set lane ko kaha to mene unse kaha sir iska yaha kya kam hai to unhone kaha ki ye to office use ke liye hai aapke liye nai hai to mene kaha to sir ye saman aap hamse kyu mangwa rahe hai to unhone kaha ki agar aap saman layenge to hi aap ka kam hoga nai to nai hoga or unhone ye bhi kaha ki ye saman hamne kevel aapse nai liya hai sab se kuch na kuch lete hai or kam se kam 200 rs ka. ab sir aap hi bataye ki hamare pm sir courption ko rokne ke liye kya kuch nai kar rahe hai ab aam aadmi kya kare. Meri pm modi ji se gujaris hai ki ese logo par sakhat action le inhi choti choti bato se hi desh badlega.